LLB ki padhai!
Professor: Agar tumhe kisi ko santra dena ho to kya bologe?
Student: ye lo santra.
Professor: Nahi ek vakeel ki tarah bolo..
Student: Main apne pure hosho o hawas mein aur bina kisi ke dabav mein aaye iss fal, jo ki santra kehlata hai, aur jis par main pura haq rakhta hun, uske chhilke, rass, gudde, aur beej aapko deta hun, aur isske saath hi aapko is baat ka sampoorna aur bina shart adhikar bhi deta hun ki aap isse kaatein, chhiley, fridge mein rakhe ya khane ke liye puri aazadi hai. Aapko ye adhikar hoga ki
aap kisi bhi aur insaan ko ye fal isske chilke, rass, gudde aur beej ke bina ya uske sath de sakte hain, main goshna karta hun ki aaj se phele is santre se sambandhit kisi bhi prkar ke vivad, jhadge ki samast zimmedari meri hai, aur ab ke baad mera kisi bhi prakar se is santre se koi sambandh nahi rahega..
Professor: Prabhu aapke charan kahan hai...