Gabbar ke adde par... Dhiskyon, dhiskyaon....
Gabbar: Yeh bhi bach gaya! Tera kya hoga Kaaliya?
Kaaliya: Mujhe mat maro sardaar, maine aapka namak khaya hai.
Gabbar: Safed namak ya kala namak?
Kaaliya: Safed.
Gabbar: Iodine tha kya usame?
Kaaliya: Haan.
Gabbar: Free flowing hai kya?
Kaaliya: Jee haan...
Gabbar: ISI mark hai kya?
Kaaliya: Haan.
Gabbar: 'Dukan' se liya ya 'Super Market' se ya sarkaari depot se?
Kaaliya: Gaon walo ne diya tha sardaar.
Gabbar: MRP dekha tha kya?
Kaaliya: Haan.
Gabbar: Expiry date bhi dekhi thi kya?
Kaaliya: Haan sardaar..
Gabbar: Tata tha ya Captain Cook?
Kaaliya: Sardar, main Namak Haram hoon... mujhe goli mar do.

{widget:social-share-button}


Add comment